اردو हिंदी
Mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya | Shaahi Shayari
mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya

Ghazal

Mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya

Seemab Sultanpuri

;

mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya
dil ka diya bujhae zamana guzar gaya

aankhon mein ashk aae hain sun kar hansi ka nam
lekin hansi ko aae zamana guzar gaya

ai zindagi utar bhi is bar dosh ko
mayyat meri uThae zamana guzar gaya

kya jaane kya chhupae tha daman ki oT mein
mujh se nazar bachae zamana guzar gaya

kahta raha hun dil se ki aaegi phir bahaar
is aarzu mein hae zamana guzar gaya

ab bhi fareb deti hai aankhon ki raushni
surat teri bhulae zamana guzar gaya

'simab' main hun aur musalsal gham-e-hayat
KHushiyon ko munh dikhae zamana guzar gaya