mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh
is ehtimam se us ne mujhe kaha KHamosh
ab aise haal mein kya KHak guftugu hogi
ki ek soch mein gum hai to dusra KHamosh
so yun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mere
main tum se mil ke bahut der tak raha KHamosh
jab ehtimam se raunda gaya wajud mera
to samne wo khaDa tha gurez-pa KHamosh
main jaanta hun meri sar-kashidgi ka sabab
so mujh se baat na kar mere naseha KHamosh
samaaton mein nai gunj kis ne rakkhi hai
ki har taraf se uThi ek hi sada KHamosh
main ek dasht-e-tamanna mein nim zinda hun
hawas-baKHta ghayal barahna-pa KHamosh
Ghazal
Mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh
Abdurrahman Wasif