اردو हिंदी
Mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi | Shaahi Shayari
mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi

Ghazal

Mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi

Nafas Ambalvi

;

mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi
in charaghon se na uljho ungliyan jal jaengi

aag gulshan mein laga di aur socha bhi nahin
in gulon ke sath kitni titliyan jal jaengi

nafraton ki aandhiyan yun hi agar chalti rahi
rakh mein pinhan hain jo chingariyan jal jaengi

aasmanon ko jala kar ek din pachhtaoge
jal uTha sawan to sari badliyan jal jaengi

koi shor-o-ghul na sannaTon ka phir hoga wajud
sath hi aawaz ke KHamoshiyan jal jaengi

yun hi gar tanhaiyon ke daere baDhte gae
aadmi rah jaega parchhaiyan jal jaengi

phir mohabbat ke alawon ko nafas raushan karo
dhimi dhimi aanch mein sab talKHiyan jal jaengi