mazhab ki mere yar agar justuju karen
marte hue mera na su-e-qibla ru karen
tha main sharab-dost bahut, meri KHak ke
kase banane chahiyen kuchh, kuchh subu karen
mazkur mere girye ka ho jis jagah wahan
ahl-e-namaz ja-e-tayammum wazu karen
bang-e-zabih ho na kabhi aashna-e-gosh
kyun-kar tere shahid fughan be-gulu karen
gar tu sune to silsila-e-zulf ke asir
sharh-e-niyaz-mandi-e-dil mu-ba-mu karen
us ke dahan-e-tang mein ja-e-suKHan nahin
hum guftugu karen bhi to kya guftugu karen
talib hain dil se husn-e-mohabbat-faza ke hum
is se ziyaada aur tujhe KHub-ru karen
zindan mein us ke hain to kai be-gunah asir
ghaalib ki roz-e-id inhen surKH-ru karen
dawe mein tere ishq ke sadiq na ho sake
sharmindagi se kyunki na hum sar-faru karen
charKH-e-hazar-raKHna ka paiwand kyunki ho
ye shaal wo nahin hai ki jis ko rafu karen
khulwa do un ki fasd ki diwane hain wo shaKHs
jo fasl-e-gul mein mera gareban rafu karen
ye chahiye hai hum ko ki hum sab se mil chalen
ai 'mushafi' kisi ko na apna adu karen
Ghazal
Mazhab ki mere yar agar justuju karen
Mushafi Ghulam Hamdani