اردو हिंदी
Mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla | Shaahi Shayari
mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

Ghazal

Mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

Marghoob Asar Fatmi

;

mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla
qais jab dasht ko nikla to pareshan nikla

shiddat-e-shauq mein sarmast-o-shadan nikla
gham-rasida bhi agar tha to ghazal-KHwan nikla

un se milne ki tamanna liye Darta hi raha
dil ye kafir mera dar-parda musalman nikla

sham aai to lab-e-lalin ki shoKHi le kar
mehr bikhraate hue lal-e-badaKHshan nikla

jab ki parwaz-e-taKHayyul ne bhi surat pali
kitna be-mani sa ab taKHt-e-sulaiman nikla

jaane kab chupke se aankhon ne dar-e-dil khola
aaya ek bar to phir ghar se na mehman nikla

KHwab hi achchhe the TuTe to hua ye ifsha
jis ko gulzar samajhte the bayaban nikla

qaidi-e-husn ki sarkar mein peshi jo hui
ishq sarshaar tha didar ka unwan nikla

daere fikr ke mahdud hon mumkin hi nahin
kab 'asar' mo'tarif-e-tangi-e-daman nikla