maze ishq ke kuchh wahi jaante hain
ki jo maut ko zindagi jaante hain
shab-e-wasl lin un ki itni balaen
ki hamdam mere hath hi jaante hain
na ho dil to kya lutf-e-azar-o-rahat
barabar KHushi na-KHushi jaante hain
jo hai mere dil mein unhin ko KHabar hai
jo main jaanta hun wahi jaante hain
paDa hun sar-e-bazm main dam churae
magar wo ise be-KHudi jaante hain
kahan qadr-e-ham-jins ham-jins ko hai
farishton ko bhi aadmi jaante hain
kahun haal-e-dil to kahen us se hasil
sabhi ko KHabar hai sabhi jaante hain
wo nadan anjaan bhole hain aise
ki sab shewa-e-dushmani jaante hain
nahin jaante is ka anjam kya hai
wo marna mera dil-lagi jaante hain
samajhta hai tu 'dagh' ko rind zahid
magar rind us ko wali jaante hain
Ghazal
Maze ishq ke kuchh wahi jaante hain
Dagh Dehlvi