maze betabiyon ke aa rahe hain
wo hum ko hum unhen samjha rahe hain
abhi kal tak the kaise bhole-bhaale
zara ubhre hain aafat Dha rahe hain
kaha us ne sawal-e-wasl sun kar
ki mujh se aap kuchh farma rahe hain
wo bijli hain to hon un ko mubarak
mujhe kis waste taDpa rahe hain
mujhe to intizar-e-chaaragar hai
ilahi ghash pe ghash kyun aa rahe hain
rahe daman bhara un ka hamesha
lahad par phul jo barsa rahe hain
suna kar qissa-e-parwana-o-shama
hamare dil ko wo garma rahe hain
do roza husn par phule hain kya gul
baDe kam-zarf hain itra rahe hain
kabhi hum ne piya tha baada-e-ishq
'jalil' us ke maze ab aa rahe hain
Ghazal
Maze betabiyon ke aa rahe hain
Jaleel Manikpuri