اردو हिंदी
Mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka | Shaahi Shayari
mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka

Ghazal

Mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka

Makhmoor Jalandhari

;

mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka
ki raazdan bhi mera raazdar ho na saka

nazar se zarron ko ulTa galon ko chaak kiya
magar main sar-KHush-e-didar-e-yar ho na saka

shabab-o-ishq ki kul umr ek lamha thi
mujhe ye lamha magar sazgar ho na saka

baja-e-KHud meri hasti ko kar diya uryan
wo parda-dar mera parda-dar ho na saka

wo kis bharosa par ummid-war ho tera
teri nazar pe jise eatibar ho na saka

mulahiza ho mohabbat ka zauq-e-nazzara
jo aashkar tha wo aashkar ho na saka

mera maal bhi hota chaman sa ibrat-nak
junun ka shukr ki waqf-e-bahaar ho na saka

nigah-e-mast ka mamnun-e-kaif hun 'maKHmur'
ki pi to KHub magar baada-KHwar ho na saka