maza kya jo yunhi sahar ho gai
nahin bhi pahar-do-pahar ho gai
tere gham mein shab yun basar ho gai
gharaz rote rote sahar ho gai
na aaina har waqt dekha karo
kahoge kisi ki nazar ho gai
jo bandhi kamar qatl-e-ushshaq par
kamar to na thi par kamar ho gai
sabab un ki ranjish ka kahna nahin
koi puchhe kis baat par ho gai
labon par Thaharne se ai jaan! husul
idhar aa gai ya udhar ho gai
koi baat ulfat ki ab to nahin
jo kuchh ho gai peshtar ho gai
tera wada go jhuT hi kyun na ho
tasalli hamari magar ho gai
taghaful hai har baat par kis liye
mere dil ki tujh ko KHabar ho gai
qayamat ke aasar bhi ho gae
shab-e-gham daraaz is qadar ho gai
manana rulana hi baham raha
shab-e-wasl yunhi sahar ho gai
nahin kya karoge na hum ko sunao
shikayat adu ki magar ho gai
KHuda hai jo is but se phir ho milap
gharaz aaj to is qadar ho gai
kaha bhi to us ne kuchh aisa nahin
zara baat mein chashm tar ho gai
na mana na mana usi shoKH ne
ki duniya udhar ki idhar ho gai
tumhein zid na milne ki hai kis liye
meri aah kya be-asar ho gai
wo wade se kyun phir gae kah tu kuchh
ye kya baat ai nama-bar ho gai
ye qismat hua wasl bhi gar nasib
to ranjish bhi har baat par ho gai
wo aae bhi yan us se ai dil husul
koi dam ko taskin agar ho gai
tere gham mein ye haal to ho gaya
KHushi ab teri fitnagar ho gai
ye jhuTi mohabbat se un ki husul
shikayat adu ki agar ho gai
unhen sulh manzur hai mujh se kab
kahun kya hui kyunki par ho gai
nizam us ghaDi ka kahun haal kya
jab us ne kaha wo sahar ho gai
Ghazal
Maza kya jo yunhi sahar ho gai
Nizam Rampuri

