maza be-hoshi-e-ulfat ka hoshyaron se mat puchho
azizan KHwab ki lazzat ko be-daron se mat puchho
hamein kuchh daKHl in baaton mein sunte ho nahin mutlaq
haqiqat bewafai ki wafadaron se mat puchho
jo puchho to azizan dil se puchho ya ki tum hum se
hamari aur us ki baat aghyaron se mat puchho
gae we din jo rahte the jahan-abaad mein hum bhi
KHarabi shahr ki sahra ke aawaron se mat puchho
gulon ko kab KHabar hai haal-e-zar-e-andalibon se
haqiqat muflison ki aah zar-daron se mat puchho
wo dil rakhte hain apna pas apne balki ghairon ka
haqiqat be-dilon ki aah dil-daron se mat puchho
KHabar dil ki agarche ho mere ashkon se tum sun lo
ye waqif KHub hain us ghar se harkaron se mat puchho
unhon ka jal raha hai dil KHuda jaane ki kya bolen
mera ahwal koi mere gham-KHwaron se mat puchho
ye apne haal hi mein mast hain in ko kisi se kya
KHabar duniya wama-fiha ki mai-KHwaron se mat puchho
hua hai in dinon wo aashnaon se bhi begana
KHarabi ko 'hasan' ki aaj-kal yaron se mat puchho
Ghazal
Maza be-hoshi-e-ulfat ka hoshyaron se mat puchho
Meer Hasan