maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena
laga dena zara tir-e-nazar han phir laga dena
wo mera be-KHudi mein us ke munh se munh mila dena
qayamat ek chup ka phir wo donon ko saza dena
ada-e-sharm ho KHalwat mein ya andaz shoKHi ke
tere har naz par hum ko to jaan ai dilruba dena
hamara aarzu-e-bosa karna tujh se dar-parda
tera dushnam dena aur kya kya barmala dena
sifarish ham-damon ki un ka jate waqt ye kahna
ki jab taDpe meri taswir sine se laga dena
na hone pae waqif lazzat-e-tazir se dushman
mazahir chand ho us ki magar hum ko saza dena
udhar us lab se nikla shoKH chitwan ko na dena dil
udhar chashm-e-suKHan-go ne ishaaron mein kaha dena
labon se lab mila len wasl mein sine se ya sina
magar mumkin nahin us but ke dil se dil mila dena
agar ahd-e-wafa se tu bhi phir jae mohabbat mein
'hijab' us shoKH ko malum ho jae dagha dena

Ghazal
Maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena
Anwari Jahan Begum Hijab