mayassar KHud nigah-dari ki aasaish nahin rahti
mohabbat mein to pesh-o-pas ki gunjaish nahin rahti
andhere aur bhi kuchh tez-raftari se baDhte hain
diya koi jalane ki jahan koshish nahin rahti
ye dil to kis taraf jaane baha kar le gaya hota
nigahon mein agar wo saat-e-pursish nahin rahti
mah-o-anjum se lauT aaen ijara-dar duniya ke
jahan ye panw rakhte hain wahan tabish nahin rahti
bahut se phul lahje KHar hote hum ne dekhe hain
kisi shirin-nawa ki dil ko ab KHwahish nahin rahti
musallas ka KHat-e-salis mujhe mil kar nahin deta
kabhi qismat se wo ruk jae to barish nahin rahti
Ghazal
Mayassar KHud nigah-dari ki aasaish nahin rahti
Saima Esma