mayassar jin ki nazron ko tere gesu ke sae hain
ghazal ke KHushnuma uslub un ke hath aae hain
yagane aur begane tassub ne banae hain
wagarna sumbul o gul ek hi gulshan ke jae hain
haqiqat nagawar-e-KHatir-e-nazuk na ban pai
kuchh is taknik se hum ne unhen qisse sunae hain
to wo andaz jaise mera ghar paDta ho raste mein
pae-izhaar-e-hamdardi wo jab tashrif lae hain
naqab-e-ruKH ulaT kar us ne chashm-e-shauq ke parde
samajh mein kuchh nahin aata uThae hain girae hain
damakta hai jabin-e-naz par rang-e-pashemani
ab un se kya kaha jae ki ye sadme uThae hain
lagawaT ki nigahon ne charagh-e-arzu-e-mandi
jalae hain bujhae bujhae hain jalae hain
jinhen mina-e-mai hasil hai jin ko durd-e-paimana
wo jaise aap ke apne hain ye jaise parae hain
taghaful ki koi had bhi to honi chahiye aaKHir
bil-aKHir bin bulae hum teri mahfil mein aae hain
nazar aate hain tare is tarah sawan ki raaton mein
kisi ne phul kaghaz ke samundar mein bahae hain
yaqin hai 'shad' mujh ko kulliyat-e-nazm-e-fitrat se
gulon ne rang-o-nikhat ke bahut mazmun churae hain
Ghazal
Mayassar jin ki nazron ko tere gesu ke sae hain
Shaad Aarfi

