may ka aag lagata hua mahina tha
ghaTa ne mujh se mera aaftab chhina tha
baja ki tujh sa rafugar na mil saka lekin
ye tar tar wajud ek din to sina tha
use ye zid thi ki har sans us ki KHatir ho
magar mujhe to zamane ke sath jina tha
ye hum hi the jo bacha lae apni jaan de kar
hawa ki zad pe teri yaad ka safina tha
nadi KHajil thi ki bhigi hui thi pani mein
magar pahaD ke mathe pe kyun pasina tha
tum un sulagte hue aansuon ka gham na karo
hamein to rose hi ye zahr hans ke pina tha
tamam-umr kisi ka na ban saka 'shabnam'
wo jis ko baat banane ka bhi qarina tha

Ghazal
May ka aag lagata hua mahina tha
Rafia Shabnam Abidi