maut se aage soch ke aana phir ji lena
chhoTi chhoTi baaton mein dilchaspi lena
narm nazar se chhuna manzar ki saKHti ko
tund hawa se chehre ki shadabi lena
jazbon ke do ghunT aqidon ke do luqme
aage soch ka sahra hai kuchh kha pi lena
mahnge saste dam hazaron nam ye jiwan
soch samajh kar chiz koi achchhi si lena
aawazon ke shahr se baba kya milna hai
apne apne hisse ki KHamoshi lena
dil par sau rahen kholin inkar ne jis ke
'saz' ab us ka nam tashakkur se hi lena
Ghazal
Maut se aage soch ke aana phir ji lena
Abdul Ahad Saaz