اردو हिंदी
Maut mangun to rahe aarzu-e-KHwab mujhe | Shaahi Shayari
maut mangun to rahe aarzu-e-KHwab mujhe

Ghazal

Maut mangun to rahe aarzu-e-KHwab mujhe

Haidar Ali Aatish

;

maut mangun to rahe aarzu-e-KHwab mujhe
Dubne jaun to dariya mile payab mujhe

meri iza ke liye murde mein jaan aati hai
kaTne dauDti hai mahi-e-be-ab mujhe

dahan-e-gurg se jita jo bachun sahra mein
zabh karne ke liye mol le qassab mujhe

hun tasawwur mein safa-e-badan-e-yar ke gharq
halqa-e-naf hua halqa-e-girdab mujhe

mardum-e-dida-e-qurbani hun main diwana
aae darwaza khule bin na kabhi KHwab mujhe

ai falak rahne de uryan hi pas-az-marg bhi tu
sonpta kya hai kafan-duzd ka asbab mujhe

nahin rakhte hain amiri ki hawas mard-e-faqir
sher ki khaal hi hai qaqum-o-sanjab mujhe

josh se ashkon ke phir jaega sar par pani
khinch le jaega dariya mein ye sailab mujhe

dair o kaba mein un aankhon se nahin halqa-e-dar
koi abru se dikhata nahin mehrab mujhe

furqat-e-yar mein karti hai qayamat barpa
roz-e-mahshar se nahin kam shab-e-mahtab mujhe

maraz-e-ishq se bach jaun jo tum dilwa do
sadqa apne lab-e-jaan-baKHsh ka unnab mujhe

chain lene na diya dard-e-judai ne kabhi
kab main soya ki jagaya nahin bad-KHwab mujhe

nahin bhola hai junun mein wo hawas uD jaana
yaad hai barhami-e-sohbat-e-ahbab mujhe

nam ko mere bhi ahbab mein apne likkhe
zarra samjha rahe wo mahr-e-jahan-tab mujhe

dil ghani chahiye go hun main faqir ai 'atish'
sher ki khaal hi hai qaqum-o-sanjab mujhe