اردو हिंदी
Maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai | Shaahi Shayari
maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai

Ghazal

Maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai

Josh Malsiani

;

maut ki zad ka KHatar har fard ko har ghar mein hai
ye baDa ek aib ai duniya teri chausar mein hai

manzil-e-maqsud par pahunche to pahunche kis tarah
DhunDne wala umid-o-bim ke chakkar mein hai

shaiKH se kuchh zid nahin hai barhaman se kad nahin
dair o kaba donon ka jauhar mere saghar mein hai

fikr-e-imroz o gham-e-farda sarasar be-mahal
tu agar ghar mein hai to sab kuchh hamare ghar mein hai

dam-ba-KHud fitne hain un ki shoKHi-e-raftar se
ek sannaTe ka aalam arsa-e-mahshar mein hai

meri hi rudad-e-wahshat sun ke fariyaadi hain sab
chaak mere hi jigar ka daman-e-mahshar mein hai

naqsh-e-ulfat miT gaya to dagh-e-ulfat hain bahut
shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai

is se kya matlab ki hai kis kis ke dil mein shauq-e-qatl
dekhna ye hai ki dam kitna tere KHanjar mein hai

silsila aawargi ka fahm se bahar hai 'josh'
main bhi chakkar mein hun meri aql bhi chakkar mein hai