maut ki sun ke KHabar pyar jatane aae
ruThne duniya se jo hum yar manane aae
achchhe din aae to main ne ye tamasha dekha
mere dushman bhi gale mujh ko lagane aae
aaj mil kar mere dushman ka pata puchhte hain
mujh se milne wo na milne ke bahane aae
dard-o-gham aur udasi ke siwa kaun aata
jin ko bheja tha mere ghar mein KHuda ne aae
phul hi phul khile jin ki badaulat ai dost
un ke hisse mein na phulon ke KHazane aae
edhi walon ke siwa koi nahin tha us ka
log muflis ka janaza na uThane aae
ro diye wo bhi meri maut ke baad ai 'purnam'
yaad jab meri wafaon ke fasane aae
Ghazal
Maut ki sun ke KHabar pyar jatane aae
Purnam Allahabadi