maut ek darinda hai zindagi bala si hai
subh bhi udasi hai sham bhi udasi hai
apni intiha par hum shayad ibtida mein hain
tab bhi bebasi thi ab bhi be-libasi hai
baadalon ko aana hai lauT kar isi jaanib
ye zamin hi pyasi thi ye zamin hi pyasi hai
ye bhi ek neamat hai kash tum samajh pao
zindagi ke andar jo apne ek KHala si hai
jaanta to sab kuchh hai wo bhi mere bare mein
kya karen jo zalim mein KHu-e-na-shanasi hai
farq hai to hum mein hai waqt ek jaisa hai
san chhiyanwe hai ye ya ki san chhiyasi hai

Ghazal
Maut ek darinda hai zindagi bala si hai
Saadullah Shah