maut hi ek dawa hai aur wo jari hai
hum ko zinda rahne ki bimari hai
sirf udas rahoge gar tum sachche ho
baqi har jazba-e-mashq fankari hai
andar andar dar-ba-dari hi dar-ba-dari
bahar bahar KHub dar-o-diwari hai
jism bahut bhaari hain shahr ke logon ke
jismon mein dil hain to aur bhi bhaari hain
dariya mein sahil hain daKHl-andaz bahut
dariya bechaara kya hai bas jari hai
main to apne aap se aari hun kab se
phir ye kis ke hone ki tayyari hai
sher mein ek zara sa hota hai ilham
us ke baad to jo kuchh hai fankari hai
fankari to aire-ghaire bhi kar len
aslan to ilham mein hi dushwari hai
jism uDa phirta hai wahi bazaron mein
ruh wahi masruf-e-KHana-dari hai
chehra abhi tak hai KHana-abaad mera
us ke muqabil aaina-bazari hai
kasa-e-jism bana baiTha hai jab dekho
ye farhat-ehsas ajib bhikari hai
Ghazal
Maut hi ek dawa hai aur wo jari hai
Farhat Ehsas