اردو हिंदी
Maut apni jaan ai dil gardish-e-aflak ko | Shaahi Shayari
maut apni jaan ai dil gardish-e-aflak ko

Ghazal

Maut apni jaan ai dil gardish-e-aflak ko

Meer Kallu Arsh

;

maut apni jaan ai dil gardish-e-aflak ko
Dubne ka KHauf hai girdab mein tairak ko

KHud KHajil ho jis ko raushan-dil se ho nahaq ghubar
munh pe paDti hai jo munh par phenkte hain KHak ko

mar gae par bhi tah-o-baala raha apna ghubar
shisha-e-saat mein rakhte hain hamari KHak ko

basta-e-fitrak hote hain hazaron bulbulen
jaan kar bab-e-gulistan halqa-e-fitrak ko

kya ajab gar ustuKHwan raushan hon dagh-e-ishq se
ek sharar shola banata hai KHas-o-KHashak ko

KHub sa ji khol kar aawara kar ai ishq-e-yar
KHauf-e-ruswai nahin aslan dil-e-bebak ko

hijr mein pita hun KHun-e-dil mai-e-gulgun ki rang
daur-e-saghar jaanta hun gardish-e-aflak ko

kya nahin tazir milti hai gunah-e-ishq ki
aatish-e-furqat jahannam hai dil-e-ghamnak ko

kijiye nale ba-rang-e-bulbul ai dil gar kabhi
TukDe TukDe misl-e-gul kar le teri poshak ko

raund Dala hai zamin-e-sher se ta-charKH-e-fikr
rok le 'arsh' ab inan-e-tausan-e-chaalak ko