اردو हिंदी
Maut aai hai zamane ki to mar jaane do | Shaahi Shayari
maut aai hai zamane ki to mar jaane do

Ghazal

Maut aai hai zamane ki to mar jaane do

Aleem Usmani

;

maut aai hai zamane ki to mar jaane do
kam se kam us ki jawani to guzar jaane do

jag uTThenge hum abhi aisi zarurat kya hai
dhup diwar se kuchh aur utar jaane do

muddaten ho gain ek baat mere zehn mein hai
sochta hun tumhein batlaun magar jaane do

gardish-e-waqt ka kitna hai kushada aangan
ab to mujh ko isi aangan mein bikhar jaane do

KHush-nasibi se idhar aatish-e-gham KHub hai tez
dosto ab meri hasti ko nikhar jaane do

koi manzil nahin rah jaegi sar hone ko
aadmi ko zara allah se Dar jaane do

toD do baDh ke ye mafruza wafaon ke hisar
dil ki aawaz jidhar jae udhar jaane do

waqt ke hath ka phenka hua patthar hun main
ab to mujh ko kisi shishe mein utar jaane do

uljhanen KHatm na kyun hongi zamane ki 'alim'
un ke uljhe hue gesu to sanwar jaane do