maut aaegi jo ruswai ka saman hoga
chaak dil hoga agar chaak gareban hoga
dil ko bahlata hun ye kah ke teri furqat mein
parda-e-ghaib se KHud wasl ka saman hoga
hashr mein dekhenge rahmat ka tamasha zahid
jab KHatawar KHataon pe pasheman hoga
malak-ul-maut ko bhi sath gul apne lana
mujh pe ehsan tera ai shab-e-hijran hoga
rahnumai rah-e-ulfat mein jo ai KHizr kare
wo farishta to nahin mujh sa hi insan hoga
hum na kahte the ki hai hosh-ruba husn tera
aaina dekh na tu dekh ke hairan hoga
mujh se kahti hai shab-e-wasl pareshan-nazari
aap ke dil mein bhi shayad koi arman hoga
ku-e-jaanan ki hawas tujh ko bahut hai ai 'shad'
KHak ke zarron ki manind pareshan hoga

Ghazal
Maut aaegi jo ruswai ka saman hoga
Murli Dhar Shad