mausamon ki baaton tak guftugu rahi apni
main ne kab kahi apni tum ne kab suni apni
KHatm hi nahin hote silsile sawalon ke
silsile sawalon ke aur KHamushi apni
ek had pe qaem hai ghaTti hai na baDhti hai
tirgi zamane ki aur raushni apni
kuchh hasin taswiren rah gain nigahon mein
warna kya guzar pati sham-e-zindagi apni
fasl-e-gul ke hangame aarzi to hote hain
yun nahin guzar jate jaise zindagi apni
kuchh udas logon ne mera haal puchha tha
warna kaun karta hai arz waqai apni
is KHata ne mujh ko bhi sharmsar kar Dala
shahr ke raison se dosti na thi apni
kuchh KHushi ke aansu bhi ashk-e-gham ke sath aae
apne jaise logon se jab ghazal suni apni
Ghazal
Mausamon ki baaton tak guftugu rahi apni
Iqbal Umar