mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
ai dost hamare aangan mein rahti hai hamesha zard hawa
sab apne shanasa chhoD gae raste mein hamein ghairon ki tarah
chehre pe hamare Dal gai la kar ye kahan ki gard hawa
chhuTe na kabhi phulon ka nagar koshish to yahi hai apni magar
ek rose uDa le jaegi patton ki tarah be-dard hawa
kya baat hui kyun shahr jala ab is ke siwa kuchh yaad nahin
ek fard sarapa aag hua pal-bhar mein hua ek fard hawa
aai hai ghane jangal mein abhi jo khel bhi chahe khele magar
kal mere sath uDaegi phir sahra sahra gard hawa
aankhon ki chamak mauhum hui lau dete badan afsurda hue
dar aai hai 'qaisar' ghar mein mere ye kaisi ruton ki sard hawa
Ghazal
Mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
Qaisar Shameem