mausam sukhe peD girane wala tha
kisi kisi mein phul bhi aane wala tha
par ke manzar ne mauqe par aankhen din
main andha diwar uThane wala tha
us ne bhi aankhon mein aansu rok liye
main bhi apne zaKHm chhupane wala tha
tum ne kyun barud bichha di dharti par
main to dua ka shahr basane wala tha
wo laDki to kab ki mar gai yaad aaya
main kis ko aawaz lagane wala tha
ghar ke charagh ne aag laga di basti mein
main suraj dahliz pe lane wala tha
meri duniya kaise us ko ras aati hai
us ka har andaz zamane wala tha
bachche 'ashk' ko pagal kah kar bhag gae
wo pariyon ki katha sunane wala tha
Ghazal
Mausam sukhe peD girane wala tha
Parveen Kumar Ashk