mausam ko bhi 'waqar' badal jaana chahiye
kholi hain khiDkiyan to hawa aana chahiye
beja ana se aur ulajhte hain masale
aaya nahin hai wo to mujhe jaana chahiye
sach ko bhi jhuT jhuT ko sach kar dikhaoge
bas ek amir-e-shahr se yarana chahiye
suraj ka faiz aam hai par wo bhi kya kare
rauzan to ghar mein koi nazar aana chahiye
hum jaise log yun to baDe saKHt-jaan hain
ek war chahiye so sharifana chahiye
Ghazal
Mausam ko bhi waqar badal jaana chahiye
Waqar Fatmi