mausam ke mutabiq koi saman bhi nahin hai
aur rut ke badal jaane ka imkan bhi nahin hai
DhunDo to KHushi ka koi pal hath na aae
dekho to yahan koi pareshan bhi nahin hai
rishte mein wo pahli si taDap ab nahin milti
han yun to ba-zahir wo gurezan bhi nahin hai
bas chhat ke shagafon ko paDe ghurte rahiye
yara bhi nahin mahfil-e-yaran bhi nahin hai
phir kyun na use hamdam o ham-zad bana len
jab yun hai ki is dard ka darman bhi nahin hai
wo waqt bhi tha hum ko zamane ki KHabar thi
ab yun hai ki ehsas-e-rag-e-jaan bhi nahin hai
ab qatl ki KHabron ka wo aalam hai ki 'arshad'
sun kar koi hairan o pareshan bhi nahin hai
Ghazal
Mausam ke mutabiq koi saman bhi nahin hai
Rashid Jamaal Farooqi