اردو हिंदी
Mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota | Shaahi Shayari
mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

Ghazal

Mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

Mazhar Imam

;

mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota
jab ghar hi banaya tha to darwaza bhi hota

hum sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil
jo zaKHm fasurda tha tar-o-taza bhi hota

tum hote to mearaj-e-KHayalat bhi hoti
bikhre hue alfaz ka shiraaza bhi hota

jazbaat ki aankhon mein chamakta koi shoala
ehsas ke ruKHsar pe kuchh ghaza bhi hota

raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati
doshiza-e-imkan ka KHamyaza bhi hota