اردو हिंदी
Mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein | Shaahi Shayari
mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein

Ghazal

Mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein

Zafar Iqbal

;

mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein
phir us ne kiya tilism rakha hai KHalaon mein

jo TuTti bikharti si rahti hai raat din
kuchh is tarah ki ek sada hai KHalaon mein

jari hai raushni ka safar dur dur tak
kya khel koi khel raha hai KHalaon mein

manzar bhi muKHtalif hain juda is ke rang bhi
jis tarha koi KHwab-e-nawa hai KHalaon mein

jari hai kahkashaon ki baraat is tarah
mela sa jaise koi laga hai KHalaon mein

sanat-gari ki ramz alag hai zamin par
karigari ka raaz juda hai KHalaon mein

raftar aur waqt ka andaza hai kuchh aur
fitrat ki muKHtalif hi ada hai KHalaon mein

is kaenat ki koi had hi nahin 'zafar'
apna hi us ne tarz rakha hai KHalaon mein