mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye
taza hawa pe band na darwaza kijiye
ya chheDiye na manzar-e-nadidani ka zikr
ya misl-e-aftab baham ghaza kijiye
ya lab pe laiye na pareshaniyon ki baat
ya jama baiTh kar kabhi shiraaza kijiye
bahlaen dil ko KHwab-e-KHush-aind se na kyun
kya faeda ki zaKHm-e-kuhan taza kijiye
is daur mein ki chehre hi 'anjum' hue hain masKH
kya KHatt-o-KHal se tere andaza kijiye
Ghazal
Mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye
Anjum Rumani