mausam-e-sang-o-rang se rabt-e-sharar kis ko tha
lahza-ba-lahza jal gai dard-e-bahaar kis ko tha
sarhad-e-asman ke pas jal bichhe the har taraf
kis ne kiya hamein asir shauq-e-shikar kis ko tha
shams o nujum be-karan haft-falak nabard-gah
raushniyon ki dauD mein pa-e-farar kis ko tha
chashm-e-shafaq thi KHun-nashin chehra-e-shab tha tegh-e-tez
KHwab paDe the tar tar sabr-o-qarar kis ko tha
aaj se pahle hum sabhi samjhe the us ko barg-e-gul
tajraba-e-jalalat-e-ru-e-nigar kis ko tha
saya-e-har-shajar mein tha rengte lamhon ka hujum
KHam KHayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar kis ko tha
saya-e-ablaq-e-shajar ghat mein chashm-e-nim-wa
panw jahan the jam gae hosh-e-farar kis ko tha

Ghazal
Mausam-e-sang-o-rang se rabt-e-sharar kis ko tha
Shamsur Rahman Faruqi