اردو हिंदी
Mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari | Shaahi Shayari
mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari

Ghazal

Mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari

Ali Sardar Jafri

;

mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari
dekhna KHun ke dhabbe hain ki hai gul-kari

us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai
bais-e-faKHr nahin muflisi-o-na-dari

inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat
warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyari

shoala-e-gul ki baDha deti hai lau-e-baad-e-bahaar
tah-e-shabnam bhi dahak uThti hai ek chingari

lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur
sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari

tegh-o-KHanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam
zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari

harf-e-'sardar' mein poshida hain asrar-e-hayat
sher-e-'sardar' mein hai sarkashi-o-sar-shaari

sher-e-'sardar' mein hai shoala-e-be-bak ka rang
harf-e-'sardar' mein haq-goi-o-KHush-guftari