mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga
ek hi lamhe ko ho wasl ghanimat hoga
mera dil aaKHiri tare ki tarah hai goya
Dubna us ka nae din ki bashaarat hoga
ab ke hangama nai tarah hua hai aaghaz
shahr bhi ab ke nae taur se ghaarat hoga
shaKH se TuT ke patte ne ye dil mein socha
kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga
dil se duniya ka jo rishta hai ajab rishta hai
hum jo TuTe hain to kab shahr salamat hoga
baadbanon se hawa lag ke gale roti hai
ye safina bhi kisi mauj ki qismat hoga
Ghazal
Mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga
Asad Badayuni