mausam-e-gul sath le kar barq o dam aa hi gaya
yani ab KHatre mein gulshan ka nizam aa hi gaya
wo nigah-e-mast uThi gardish mein jam aa hi gaya
yani waqt-e-imtiyaz-e-KHas-o-am aa hi gaya
jo uTha karte the izhaar-e-taqaddus ke liye
un larazte kanpte hathon mein jam aa hi gaya
nur o zulmat par tabassum kufr o din par qahqahe
zindagi ko nashsha-e-umr-e-dawam aa hi gaya
pasban karte rahe sargoshiyan hi aur kuchh
un ki mahfil se ba-izz-o-ehtaram aa hi gaya
jaane kin nazron se dekha aaj saqi ne mujhe
main to ye samjha ki mujh tak daur-e-jam aa hi gaya
ab isi ko zindagi kah lijiye ya subh-e-marg
aankh kholi thi ki sar par waqt-e-sham aa hi gaya
tark-e-mai ko muddaten guzri hain lekin mohtasib
saqi-e-mehwash agar aatish-ba-jam aa hi gaya
hae ye aalam ki ab tark-e-wafa ke baad bhi
dil mein huk uTThi na uTThi lab pe nam aa hi gaya
lazzat-e-rangini-e-ashaar kya kahiye 'shakil'
kuchh na kuchh ahbab ko lutf-e-kalam aa hi gaya
Ghazal
Mausam-e-gul sath le kar barq o dam aa hi gaya
Shakeel Badayuni

