اردو हिंदी
Mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun | Shaahi Shayari
mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

Ghazal

Mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun

Aleena Itrat

;

mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun
har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun

yun andhere mein dikha kar raushni ki ek jhalak
meri muTThi se har ek jugnu nikal jata hai kyun

raushni ka ek musafir thak ke ghar aata hai jab
to andhera mere suraj ko nigal jata hai kyun

tere lafzon ki tapish se kyun sulag uThti hai jaan
sard-mehri se bhi teri dil ye jal jata hai kyun

ab ke jab lauTega wo to fasla rakkhenge hum
ye irada us ke aate hi badal jata hai kyun

dur hai suraj 'alina' phir bhi us ki dhup se
barf ki chadar mein lipTa tan pighal jata hai kyun