mausam-e-gul kunj-e-gulshan nikhat-e-gesu na ho
ab yahi KHwahish hai taskin ka koi pahlu na ho
main ki teri ruh ka izhaar hun mumkin nahin
teri baaton mein mere afkar ki KHushbu na ho
ai sana-KHwan-e-tajalli ye bhi socha hai kabhi
ye sarasima tajalli raat ka jadu na ho
imtihan-e-tishnagi ki manzil-e-aKHir hai ye
ai dil-e-na-aqebat-andesh be-qabu na ho
main farogh-e-bazm-e-imkan main amir-e-karwan
main gharib-e-shahr-e-na-pursan jo mera tu na ho
hum ne dekhe zindagi mein aise bhi lamhat jab
zabt ka yarana ho aur aankh mein aansu na ho
'rashk'-sahab main asir-e-jurm-e-na-malum hun
kaise mumkin hai mujhe nakaamiyon ki KHu na ho
Ghazal
Mausam-e-gul kunj-e-gulshan nikhat-e-gesu na ho
Sultan Rashk

