mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak
ya mere zaKHmon se aarasta tan ki had tak
waqt har zaKHm ko bhar deta hai kuchh bhi kije
yaad rah jati hai halki si chubhan ki had tak
na kisi gul se talluq na kisi KHar se bair
rabt gulzar se hai bu-e-saman ki had tak
wo mujhe bhul nahin paya abhi tak yani
main use yaad hun mathe ki shikan ki had tak
baat ek aur pas-e-parda-e-alfaz bhi thi
us ne KHat mera paDha lutf-e-suKHan ki had tak
mahr-o-mahtab ki KHwahish se mujhe kya lena
mutmain dil hai jab ek sim-badan ki had tak
ye jo kahna hai ki har husn jafa-pesha hai
ek tohmat hai mere rashk-e-adn ki had tak
Ghazal
Mausam-e-gul hai tere surKH dahan ki had tak
Imran-ul-haq Chauhan