mausam-e-gul hai na daur-e-jam-o-sahba rah gaya
le gai sab ko jawani main akela rah gaya
jaane kya ho kar nigahon se ishaara rah gaya
hae KHun-e-arzu jab hal ke parda rah gaya
ishq ki ruswaiyan wo husn ki bad-namiyan
hum bhula baiThe magar duniya mein charcha rah gaya
ek sarapa naz-e-tanhai mazar-e-ashiqan
hae wo aalam ki jab KHud husn tanha rah gaya
roab-e-husn aadab-e-ishq un ki haya ka ehtiram
uTh gai chilman to ab parda hi parda rah gaya
kuchh baDhana tha mazaq-e-bandagi ka hausla
pher li tu ne nazar sharma ke sajda rah gaya
in ke jalwon ne hazaron ko nawaza ai 'shafiq'
aah apni be zaban nazron ko shikwa rah gaya
Ghazal
Mausam-e-gul hai na daur-e-jam-o-sahba rah gaya
Shafiq Jaunpuri