mausam-e-gul aa gaya phir dasht-paimai rahe
ai junun lazim hai shaghl-e-abla-pai rahe
lakh mizrab-e-alam ki kar-farmai rahe
ai rabab-e-isq phir bhi naghma-pairai rahe
dekhna hai soz-o-saz-e-mausam-e-gul ki bahaar
imtizaj-e-shoala-o-shabnam ki ranai rahe
aa saka lab tak kisi ke bhi na harf-e-muddaa
hum tamannai rahe wo bhi tamannai rahe
hum bhi dikhlaen jahan ko dil ke daghon ki bahaar
aap ki hasil agar hum ko masihai rahe
justuju-e-yar mein paya na koi dam qarar
nikhat-e-gul ki tarah aalam mein harjai rahe
raunaq-e-dair-o-haram ka 'qadri' kya puchhna
raushni ek shama ki do ghar mein jab chhai rahe
Ghazal
Mausam-e-gul aa gaya phir dasht-paimai rahe
Shaghil Qadri