mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai
lekin tere baghair mera ji udas hai
ai husn-e-pur-hijab zara samne to aa
in tishna-lab nigahon ko jalwe ki aas hai
arsa hua hai tark-e-mohabbat kiye hue
phir bhi na jaane kyun tere milne ki aas hai
kahte hain kis ko ishq mujhe ye KHabar nahin
ek miTha miTha dard mere dil ke pas hai
yun to bahut hain duniya mein zi-ruh hastiyan
bas aadmi wahi hai ki jo gham-shanas hai
bas aap ka hi nam hai wird-e-zaban huzur
ye sari zindagi ka meri iqtibas hai
'shewan' ye iztirab-e-mohabbat ka hai karam
dil kya udas sara zamana udas hai
Ghazal
Mausam bhi KHush-gawar zamana bhi ras hai
Shevan Bijnauri