mauqa-e-yas kabhi teri nazar ne na diya
shart jine ki laga di mujhe marne na diya
kam se kam main gham-e-duniya ko bhula sakta tha
par teri yaad ne ye kaam bhi karne na diya
teri gham-KHwar nigahon ke tasadduq ki mujhe
gham-e-hasti ki bulandi se utarne na diya
wo teri surKHi-e-ariz ki qarib aa na saki
rang jis fikr ko bhi KHun-e-jigar ne na diya
husn-e-ham-dard tera ham-safar-e-shauq raha
mujh ko tanha kisi manzil se guzarne na diya
kitni KHush-zauq hai teri nigah-e-baada-farosh
KHali rahne na diya jam ko bharne na diya
Ghazal
Mauqa-e-yas kabhi teri nazar ne na diya
Parvez Shahidi