اردو हिंदी
Maujudgi ka uski asar hone laga hai | Shaahi Shayari
maujudgi ka uski asar hone laga hai

Ghazal

Maujudgi ka uski asar hone laga hai

Ghulam Murtaza Rahi

;

maujudgi ka us ki asar hone laga hai
sab us ke siwa mahw-e-nazar hone laga hai

atraf mere KHak uDa karti hai aksar
tai ab meri jaanib bhi safar hone laga hai

purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani
ab mujh se bhi KHali mera ghar hone laga hai

jaldi se main ab us ki taraf ruKH nahin karta
aaina mera sina-sipar hone laga hai

tartib anasir ki bigaDne lagi shayad
aalam mera ab zer-o-zabar hone laga hai

ab sang-dili mujh se chhupae nahin chhupti
aankhon se numudar sharar hone laga hai

arsa koi darkar hua karta tha 'rahi'
ab roz koi marka sar hone laga hai