maujud the abhi abhi ru-posh ho gae
ai mast-e-naz tum to mere hosh ho gae
sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae
jitne gile the KHwab-e-faramosh ho gae
wade ki raat aai qaza is ada ke sath
dhoke mein tere us se ham-aghosh ho gae
barson hue na tum ne kiya bhul kar bhi yaad
wade ki tarah hum bhi faramosh ho gae
aankhon mein bhi jo aae to allah-re hijab
ban kar nazar nazar se wo ru-posh ho gae
kya kya zaban-daraaz charagh anjuman mein the
daman-kashan tum aae to KHamosh ho gae
yaran-e-rafta baat ka dete nahin jawab
kya kah diya faza ne ki KHamosh ho gae
aai shab-e-visal to nind aa gai unhen
hum hosh mein jo aae wo madhosh ho gae
mar kar tamam sar se Talin aafaten 'jalil'
hum jaan de ke sab se subuk-dosh ho gae
Ghazal
Maujud the abhi abhi ru-posh ho gae
Jaleel Manikpuri