maujud jo tha madum samajh mein aaya
ek ulTa hi mafhum samajh mein aaya
main jab peD se gir ke zamin ki KHak hua
tab ek aalam-e-mauhum samajh mein aaya
main hi main hun aankh uThti hai jidhar bhi ab
na-malum bhi malum samajh mein aaya
ulTe mantar hi shayad main paDhta hun
jo zahir tha madum samajh mein aaya
zist ko main ek aab-e-rawan kahta hun 'tur'
kya tum ko ye mafhum samajh mein aaya

Ghazal
Maujud jo tha madum samajh mein aaya
Krishna Kumar Toor