اردو हिंदी
Maujud hain kitne hi tujhse bhi hasin kar ke | Shaahi Shayari
maujud hain kitne hi tujhse bhi hasin kar ke

Ghazal

Maujud hain kitne hi tujhse bhi hasin kar ke

Ahmad Javed

;

maujud hain kitne hi tujh se bhi hasin kar ke
jhuTla diya aankhon ko main dil pe yaqin kar ke

jis chashm se rindon mein hu-haq hai usi ne to
zahid ko bhi rakkha hai mehrab-nashin kar ke

kya us ki latafat ka ahwal bayan kijiye
jo dil pe hua zahir aankhon ko nahin kar ke

kuchh kam tha bala-e-jaan pe chehra ki upar se
aankhen bhi bana lae ghaarat-gar-e-din kar ke

aaine ke aage se ab uTh bhi chuko sahab
kya kijiyega KHud ko itna bhi hasin kar ke

sau dagh hain sine mein wo dagh-e-judai bhi
dekho to zara hoga un mein hi kahin kar ke

is dil ka to naqsha hi duniya ne badal Dala
kuchh yaad hai rahta tha wo bhi to yahin kar ke

'jawed' wahan tak to mushkil hai koi pahunche
mangwaiye qasid bhi jibril-e-amin kar ke