maujon ne hath de ke ubhaara kabhi kabhi
paya hai Dub kar bhi kinara kabhi kabhi
karti hai tegh-e-yar ishaara kabhi kabhi
hota hai imtihan hamara kabhi kabhi
chamka hai ishq ka bhi sitara kabhi kabhi
manga hai husn ne bhi sahaara kabhi kabhi
talib ki shakl mein mili matlub ki jhalak
dekha hai hum ne ye bhi nazara kabhi kabhi
shoKHi hai husn ki ye hai jazb-e-wafa ka sehr
us ne hamein salam guzara kabhi kabhi
fariyaad-e-gham rawa nahin dastur-e-ishq mein
phir bhi liya hai us ka sahaara kabhi kabhi
mushkil mein de saka na sahaara koi 'ratan'
han dard ne diya hai sahaara kabhi kabhi
Ghazal
Maujon ne hath de ke ubhaara kabhi kabhi
Ratan Pandorwi