maujon ka shor-o-shar hai barabar laga hua
dariya se is qadar hai mera ghar laga hua
aisa na ho ki TuT paDe sar pe aasman
hai kuchh dinon se mujh ko baDa Dar laga hua
ab us ke shar se KHud ko bachana bhi hai mujhe
rahta hai mere sath jo aksar laga hua
had chhu rahi thi raat jahan tishnagi meri
tha us ke baad ek samundar laga hua
sannaTe chiKHte hain mere chaar-su magar
dil mein hai iztirab ka mahshar laga hua
dushman ki baat chhoDiye hairat hai KHud mujhe
gardan se aaj bhi hai mera sar laga hua
takta hun be-qarar nigahon se bar bar
hai aasman se mera kabutar laga hua

Ghazal
Maujon ka shor-o-shar hai barabar laga hua
Khawaja Javed Akhtar