mauj-e-nikhat ki saba dekh sawari tayyar
KHar se ki hai gul-e-tar ne kaTari tayyar
kah do majnun se kare apni sawari tayyar
aaj yan hoti hai laila ki sawari tayyar
hath donon kaf-e-afsos ki surat likkhe
ki jo naqqash ne taswir hamari tayyar
tegh ko san pe rakkha tha tabhi qatil ne
gardan apni na hui thi abhi sari tayyar
lab-e-jaan-baKHsh ki tere jo safa ko dekhe
aab-e-haiwan ho pae-aina-dari tayyar
kis misi zeb ka gulshan se suna hai jaana
barg-e-sausan ne jo phir ki hai kaTari tayyar
hum subuk-ruh asiron ke liye lazim hai
qafas-e-gul ko kare baad-e-bahaari tayyar
haar kyun us ke gale ka main na hun zar-gar ne
ki hai zanjir gale ki tere bhaari tayyar
ai ajal zist ka kya un se tu mange hai hisab
jo hain har dam pae-anfas-shumari tayyar
surKH nefe se pae-said-e-dil-e-bul-hawasan
kamar us ki hui jun yuz shikari tayyar
jun jun baDhte hain mere dast-e-junun ke naKHun
wun wun hote hain pae-sina-figari tayyar
putliyan jae sitaron ki Tiki hain is mein
dida-rezi se hui kafash tumhaari tayyar
ho KHajil kyunki na neman ki gulabi lala
mai se karti hai teri chashm-e-KHumari tayyar
az-barae-kamar-e-nazuk-e-rashk-e-rag-e-gul
baghban kijo tu phulon ki kaTari tayyar
likh ba-tabdil-e-qawafi ghazal ek 'mushafi' aur
nafa-e-nuqta se kar mushk-e-tatari tayyar
Ghazal
Mauj-e-nikhat ki saba dekh sawari tayyar
Mushafi Ghulam Hamdani