mauj-e-nashim-e-subh na josh-e-numu se tha
jo phul sruKH-ru tha KHizan ke lahu se tha
tere sukut ne ise viran kar diya
dil bagh bagh tha to teri guftugu se tha
ab dil ke rahguzar mein wo chandni kahan
apna bhi rabt-o-zabt kisi mah-ru se tha
muddat hui ki dil ka wo gulshan ujaD gaya
shadab jo tere nafas-e-mushkbu se tha
KHwab-o-KHayal hain wo nashat-afriniyan
raqs-e-bahaar dil mein teri aarzu se tha
su-e-adab kahun ki ise be-takallufi
'raghib' bajae aap muKHatib wo tu se tha

Ghazal
Mauj-e-nashim-e-subh na josh-e-numu se tha
Raghib Muradabadi